Wednesday 1 April 2009

Dard

Yeh kaisa dard hai jisko hum jaan ke bhi anjana kar rahe hai?
Yeh kaunsi woh manzil hai jise hum pa ke bhi kush nahi?
Yeh kyu ho raha hai is dil mei ehsas aisa?
Is dard mei kya khas hai aisa??

Kyu aaj  aisa pal aaya hai is zindagi mei?
Ke chahakar bhi hum unhe na, na keh sake?
Kyu itni takleef hai aaj is dil mei?
Kyu bata kar bhi hum unhe bata na sake?

Kya hoga mera is durri mei?
Kya karu mei is majboori mei?
Kyu agayi hu mei is doraha par?
Jiski kalpana bhi nahi ki thi zindagi mei?

Dur hokar kya woh humse reh payenge?
Is dard ko kya woh bhi seh paayenge?
Kyu ho gai hu mei itni khudgarz aaj?
Kyu na pehchaan rahi hu mei unka dard aaj?

Kya yeh meri takdeer ka faisala hai?
Ya humari galtiyon ka hai yeh nateeja?
Kya yehi likha hai upar wale ne, Ke tu unse dur chali ja?
Kya khush honge hum is dard ko jeekar, Ya rehjayenge hum sirf aansu peekar? Sirf aansu peekar.......





1 comment:

Unknown said...

Dost na to mai kavita likhna janta hu aur na hi mai inhe analyse kr skta hu bt pir b in kavitao mein jo dil ka dard hai use mai achi tarah se smajh skta hu.