Wednesday 1 April 2009

Dil ka rishta

Pyaar humara aaj choota hai,
Dil ka rishta aaj toota hai!!!
Yeh duniya hans rahi hai mujhpe, 
Tune sareaam mujhko loota hai!!!

Roka tha mujhe sabne, Toka tha mujhe sabne,
Kaha tha yeh ek dhooka hai!!!
Chod aayi mein sabko, Tod aayi mein sabko,
Yeh na pata tha kya hoga kal ko!!!

Tere Dil mei rehne, Thujse yeh kehne
Bas tu hi hai mera aur sara jahan yeh dhoka hai
Yeh na pata tha woh saach they
Yeh dil ka rishta nahi ek samjhota hai, bas samjhota hai.......

a77cb273d696a8c0c0d65439ab21b7ac.jpg Broken heart image by coolcatt011

Dard

Yeh kaisa dard hai jisko hum jaan ke bhi anjana kar rahe hai?
Yeh kaunsi woh manzil hai jise hum pa ke bhi kush nahi?
Yeh kyu ho raha hai is dil mei ehsas aisa?
Is dard mei kya khas hai aisa??

Kyu aaj  aisa pal aaya hai is zindagi mei?
Ke chahakar bhi hum unhe na, na keh sake?
Kyu itni takleef hai aaj is dil mei?
Kyu bata kar bhi hum unhe bata na sake?

Kya hoga mera is durri mei?
Kya karu mei is majboori mei?
Kyu agayi hu mei is doraha par?
Jiski kalpana bhi nahi ki thi zindagi mei?

Dur hokar kya woh humse reh payenge?
Is dard ko kya woh bhi seh paayenge?
Kyu ho gai hu mei itni khudgarz aaj?
Kyu na pehchaan rahi hu mei unka dard aaj?

Kya yeh meri takdeer ka faisala hai?
Ya humari galtiyon ka hai yeh nateeja?
Kya yehi likha hai upar wale ne, Ke tu unse dur chali ja?
Kya khush honge hum is dard ko jeekar, Ya rehjayenge hum sirf aansu peekar? Sirf aansu peekar.......





Intezaar :(

Jaate huye mud kar jab hume dekha,

Samjh gaye hum jo tumne na kaha,

Tumhara jaana thi koi majboori,

Tumse bhi na sahi jaayegi ye doori,

Har wade pe teri aietbaar hai hume,

Bass itna yaad rakhna,

Laut kar aana ke intezaar hai hume…..


Tammana :)

Tamanna hai kisi ko pane ki..
Tamanna hai kisi ko chahne ki..
Tamanna hai aaj muskurane ki..
Tamanna hai mushkilo ko jeet jane ki..

Tamanna hai har wade ko nibhane ki..
Tamanna hai Maa Baap ka yash phelane ki..
Tamanna hai har vishwas ko aur bhadane ki..
Tamanna hai Unhi ke baahon mei mar jane ki..

Tamanna hai jindagi ko jeene ki.
Tamanna hai har aansu peene ki..
Tamanna hai har gam ko bhulane ki..
Tamanna hai phir ek nayi jindagi jeene ki..

Tamanna hai aasam ko chune ki..
Tamanna hai apna asthiva dhoondne ki..
Tamanna hai kuch kar dikhane ki..
Tamanna hai har Tamanna ko pane ki..